Saturday, July 6, 2013

Alfaz

Khwabh dekhe zaamana beet gaya.
Koi nai dastan likhe zamana beet gaya.
Us shayar ki nazro se nazrein milaye arsa ho gaya.
Unhe pure dil se chahe aisa Sapna dekhe arsa beet gaya.
Is dil ke tut te shor se zamana anjan ho gaya.
Meethe alfazo se ye dil anjan ho gaya.
Woh lafz jo hum pure bol bhi na paye the unhe pura karne se ye dil bhi aitraz kar gaya.
Unhe use chahat bahri nazro se dekhne se ye dil aitraz kar gaya.
Jo aitbar aur aitraz lafzo se mila ke gaye unhe ko Milne se ye dil aitraz kar gaya.
Na jaane is dil ne kab tumhare bina dhakna sikh lia.
Sans toh chalti hai par yaadon ka daman chin lia.
Woh badan toh le aye the hum par woh rooh ne ane se inkar kar dia.
Aine mein khudko tumhare bina dekhna Sikh lia.
Ankhon mein tumhe basana chod dia.
Dil ki dua toh yehi rahi jaha raho humare raho tum.
Par aj toh dua ne bhi tumhe apnane se inkar kar dia.